YE galion ky awara bekaar kutty

Ye galiyon ke awaara bekaar kutte
ke bakhsha gaya jin ko zauq-e’-gadaai

zamaane ki phitkar sarma’yah unka
jahaan bhar ki dhutkaar unki kamaai

na aaraam shab ko na raahat savere
ghilazat mein ghar, naaliyon mein basere

jo bighrein to ek doosre se lara do
zara ek roti ka tukra dikha do

ye har ek ki thokarein khaane wale
ye faaqon se ukta marjaane wale

ye mazloom makhlooq gar sar uthaae
to insaan sab sarkashi bhool jaaye

ye chaahein to duniya ko apna bana lein
ye aaqa’on ki haddiyan tak chaba lein

ko inko ehsas-e’-zillat dila de
koi inki soi hui dum hila de

Leave reply

Back to Top