MY FAVORITE POETRY

Roz-o-shabv yun na aziat main guzary hoty by Mohsin Naqvi

Roz-o-shabv yun na aziat main guzary hoty,
chain a jata agar khel k hary hoty,

khud sy fhursat muiasar nai hy warna,
hum kisi or k hoty tu tumhary hoty,

tujh ko bhi agar gham ny theek sy barta hota,
tery chehry py khad-o-khal hamary hoty,

1 bhi moj agar hamari himayat karti,
main ny us par kai log utary hoty,

lag gai or kahin umar ki pongi warna,
zindagi hum teri dehleez py hary hoty,

kharch ho jaty is aik mohabat main "MOHSIN"
Dil agar or bhi seeny mainb hamary hoty..............

YE galion ky awara bekaar kutty

Ye galiyon ke awaara bekaar kutte
ke bakhsha gaya jin ko zauq-e’-gadaai

zamaane ki phitkar sarma’yah unka
jahaan bhar ki dhutkaar unki kamaai

na aaraam shab ko na raahat savere
ghilazat mein ghar, naaliyon mein basere

jo bighrein to ek doosre se lara do
zara ek roti ka tukra dikha do

ye har ek ki thokarein khaane wale
ye faaqon se ukta marjaane wale

ye mazloom makhlooq gar sar uthaae
to insaan sab sarkashi bhool jaaye

ye chaahein to duniya ko apna bana lein
ye aaqa’on ki haddiyan tak chaba lein

ko inko ehsas-e’-zillat dila de
koi inki soi hui dum hila de

Back to Top